Aansuon ko alaamat e ranj o alam kahoge
Aansuon ko alaamat e ranj o alam kahoge
Phir aasmaan ki baarish ko haseen mausam kahoge
Bikhra hua hai sahil sailaabon ko dekhiye
Magar doobti hui aankh ko num chashm kahoge
Dil to hota hai halka roney se haan zurur
Tum mere ashkon ko phir kya marham kahoge
Dil ke khaanon men sab ke to basta hai khuda
Per patharon ko vaaiz tum dair o haram kahoge
Qasmen na khaao yaro Rab ko to kuchh na hoga
Lekin, dost per aaye azaab to kis ka sitam kahoge
Khayal e kufr to aata hai momin ke dil men bhi
Vaaiz, maante ho ya isey tum mera vaham kahoge
‘Sahil’ tum istehza na karo kahin ro na padun
Mere aansuon ko phir kya tum shabnam kahoge
Alamat. Sign of
Num chashm teary eyed
Vaaiz. Preacher
Dair o haram. temple mosque
Azaab. Turmoil. Trouble
Khayal e kufr. Infidelity
Momin. Believer
Istehza. To mock
Ashok sawhny ‘Sahil’