Story/Poetry

Rabt o ehteraaz to tabiyat hai insan ki

Rabt o ehteraaz to tabiyat hai insan ki
Jaise zulm o karam aadat hai aasmaan ki

Naqaab be naqaab zamaane woh aur they
Jab hoteen theen baaten yaqin o imaan ki

Aaj baaten hoteen hain per toleen nahin jaatin
Kya bhooley hain log haqeeqat mizaan ki

Milta tha darja Rab ka ghar aaye mehmaan ko
Waqt woh lao izzat thi jab aisi har mehmaan ki

Vaaiz, shaikh to tab bhi they aaj bhi hain, per
Bartar thi riza tab khuda e mehrbaan ki

Shaair, bhulaa ahd e maazi ko asr e haal men jee
Sunata hai daastaanen tu kab or kahan ki

Har neem shab badalta hai sab kuchh aaj “sahil”
Kya khabar nahin tujhe ab mizaaj e jahan ki

Rabt. Connecting. Bond
Ehteraaz. Abstain. Forbearance
Mizaan. Weighing scale
Bartar. Sublime. Supreme
Ahd e maazi. Bygone times
Asr e hall present times
Neem shab. Midnight

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *