Taaron ki kahani to pinhaan hoti hai

Taaron ki kahani to pinhaan hoti hai
Daastaan dil ki sirr e nihaan hoti hai

Tabassum se nahin hota haal dil ka bayaan
Farzi jab aaj har ja muskaan hoti hai

Khushi humsafar hai ranj o gham ki
Fasl e gul o lala ki khizaan hoti hai

Haail hon baadal to fikr kis baat ki
Raushni aaftab ki har waqt ayaan hoti hai

Paabandi na hai koi siwa sach ke ‘sahil’
Gawaah jhoot ki hamesha to zubaan hoti hai

Sirr e nihaan. Secret. Hidden
Muskaan. Tabassum smile
Fasl e gul o laala. Harvest of flowers
Haail obstacle
Ayaan. Visible
Paabandi. Restraint ban

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *