Story/Poetry

Kuchh na seekha jo kabhi dabistan e hayaat se

Kuchh na seekha jo kabhi dabistan e hayaat se
Usey kya milega dars koi fateh ya phir maat se

Raushni ke baare men kor chashm se na pucchiye
Subh ke baabat pursish kaisi amavas ki raat se

Yaqin karun to kya main vaadon per tere, shaikh
Gar maaloom na ho ta’alluq tera tere hi khayalaat se

Mujrim thahraya tu ne munsif bheega dekh mujhe
Falak hai gawaah mera num tha daaman barsaat se

Haasil kya hogi usey shaadmaani ya taskeen koi
Na hui kabhi khushi jisey zeest si saughaat se

Jab apni chaar deewaari men hai dunya saari ‘sahil’
Phir umeed hai kya bata tujhe saraab si kaaenaat se

Dabistaan e hyaat school of Life
Kor chasm. Blind
Pursish. Poochna
Munsif. Magistrate
Shaadmaani. Khushi
Taskeen. Chain
Saughaat. Gift
Saraab. Mirage
Kaaenat. Universe

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *