Khauf nahin maiyyat ko gor se koi

Khauf nahin maiyyat ko gor se koi
Sukoon ko kya waasta kabhi shor se koi

Apne jaison se lar, ai shaikh, tu
Haasil kya hoga kisi kamzor se koi

Dekhnewale na dekhen agar to phir
Umeed kaisi ho chashm e kor se koi

Qaaim rehte hain rishte pyaar se sab
Na ke kachey dhaagon ki dor se koi

Loot kar jo le jaaye dil ko ai ‘sahil’
Phir darna kya aise chor se koi

Maiyyat. Corpse
Gor. Grave
Sukun. Chain. Aaraam
Chashm e kor. Blind
Qaaim. Rooted

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *