Gar dard o gham na hotey to kya dua na hoti
Gar dard o gham na hotey to kya dua na hoti
Chashm num na hotey kya koi aah na hoti
Shifa na hoti, marham o dawa na hoti
Charahgar se phir koi ilteja na hoti
Bulbul na hoti, naghme chaman men na hotey
Dil fasurda na hotey zakhmi sada na hoti
Zulmaton men hoti dunya yeh saari, yaro
Gar aftaab na hota to phir subh bhi na hoti
Kya zururi hai wabastagi ranj o alam se, ‘sahil’
Kya naale na hotey, khuda ki chaah na hoti
Ashok sawhny ‘Sahil’