Bitaani hai hayaat apni phir kaho numaaish kis liye
Bitaani hai hayaat apni phir kaho numaaish kis liye
Qabuliyat men jab qu’at hai phir aazmaaish kis liye
Kaash yeh hota kaash woh hota kaash hota kuchh aur
Badle na taqdeer kisi ki phir har dum khwahish kis liye
Kis per karen aitbaar hum kis per hum yaqin, vaaiz
Bholi bhaali aankhon ki yeh nigah e saazish kis liye
Sukun ka aashiyan hai dil to be qaraar aaj kis liye
Jaley jo jaley parwana kahin apne dil ki sozish kis liye
Geet suna ai bulbul tu, hai chaman men rang o bu
Khaaron ko kab aaya sukun, baagh men naalish kis liye
Be maani nahin hai kuchh bhi ‘sahil’ lagey jo lagey
Bujhey na gar tishnagi zamin ki phir baarish kis liye
Qabuliyat. Acceptance
Saazish. Conspiracy
Sozish. Burning jalan
Naalish. Lamentation
Tishnagi. Pyaas
Ashok sawhny ‘Sahil’