ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Nakhuda ne puchha falak se ik roz

Nakhuda ne puchha falak se ik roz
Bol kaunsa woh sitaara hai

Deekhlaye mujhe sahi raah meri
Kya ghaaibana koi ishara hai

Bola soch kar aasmaan, khuda ra, mallah
Dil men tere to raushan nazara hai

Be bas samajh tu khud ko, magar
Rab ka har aan mukammal sahara hai

Aansu bahana koi buri bala nahin hai
Bhale machhli bahaye to isteaara hai

Yaro, kisi ne na maara kisi ko kabhi
Jitna be khudi ne usey maara hai

Insan sacha to bas usey hi maaniye
Jis ne be gharaz tumhen pukara hai

‘Sahil’, na haraya hai kisi ne kisiko kabhi
Jitna, insan apne aap se haara hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *