Aaye jo yaad baar baar usey kyon bhulaaye koi
Aaye jo yaad baar baar usey kyon bhulaaye koi
Dil men tasweer ho munaqqash to kyon mitaaye koi
Daawon men ulfat ke hai sitam zareefi kaisi
Jaan jis per ho qurbaan usey kyon rulaaye koi
Dilon men sab ke soz o gham hai be inteha
Phir dil men kyon kisi ke ja aag lagaye koi
Gulsitaan men bulbul udaas bahot hai aaj
Rootha hua hai baaghbaan, ab ja kar manaye koi
Maanta hun aalam ka, bas ek hi hai khuda
Phir bandon men tafreeq kaisi yeh samjhaye koi
Qulzum bhi hai ghaafil kitna, ‘sahil’ ko dekh lo
Apne hi saharey ko kaho kyon dubaaye koi
Munaqqash engraved
Sitam zareefi. Irony
Tafreeq. Farq
Qulzum sea
Ashok sawhny ‘Sahil’