Woh muhabat kahan woh sajde kahan
Woh muhabat kahan woh sajde kahan
Haseen rukh woh raushan saaye kahan
Karey raaj gar talkhi shahr men yaro
Phir shirin zubaan aur lahje kahan
Jahan garmi e tufaan uda kar le jaaye
Wahan himmat e mardaan, iraade kahan
Bahot badey hain aaj ke bachey, afsos
Patangen woh kaaghaz ke safiney kahan
Shab o roz ki hulchal hangaame har ja
Woh sukun pur saazgaar mahiney kahan
Tu badalte zamane men dhunta hai kya
Din maazi ke ‘sahil’ woh suhane kahan
Rukh. Chehra
Talkhi. Bitterness
Safiney. Kashtiyan
Saazgaar. Likeable
Maazi past