Kya subh aaj baat koi khaas liye baithi hai
Kya subh aaj baat koi khaas liye baithi hai
Abhi tak woh raat ko paas liye bathi hai
Hum to takte hain raah yaar ke aane ki
Jaane ab raah kisey paas liye baithi hai
Maikade ki ho baat to khabar kisey
Gulfaam kis ka gilaas liye baithi hai
Sukun pur dil ke khaanon men bhi dosto
Jaane nafrat kya bhadaas liye baithi hai
Talkhi bhi mustaqil shai nahin hai koi
Zubaan jaane kya mithaas liye baithi hai
Umeed aaj dil se mahroom kyon hai, ‘sahil’
Yaro, jaane woh kis ki aas liye baithi hai
अशोक साहनी “साहिल”