Gham se na thi yaari koi
Na khushi se aashnayi
Gham se na thi yaari koi
Na khushi se aashnayi
Na mahabat hui khud se mujhe
Na khud se kabhi judayi
“Sahil’, yeh kaisa falsafa hai
Ya koi daastaan tu ne sunayi
Na tareef hui koi teri
Na baji kahin shehnayi
Bahot kaafi hai yeh yaro
Ke na hui meri ruswayi
Jo karta hai rab ki ibadat
Phir wohi karta hai rahnumyi
Har maa ne baat aulaad ko
Har waqt yeh samjhayi
Afsos, ke aaj jahan men
Yeh samajh kisi ko na aayi
Masruf hai aaj dunya
Kaam hai husn aarayi
Danke na bajaye koi
To hamnawa hai khud satayi
Yeh nadaani nahin hai yaro
Aaj la parwayi hai intehayi
Na sahi manind e sumundur , ‘sahil’ per
Teri baaton men hai kuchh gehrayi
Sent from my iPad