Story/Poetry

अशोक साहनी “ साहिल” की नई ताज़ा कलाम

Jab ghadiyaan zeest ki maujen hain manind e sumundur
To har ghadi ho saazgaar yeh samjhun to kyon samjhun

Ashkon ka maza apna to kya aansu banenge shabnam
Har lamha zeest ka ho pur sukun yeh chahun to kyon chahun

Jab pahunchti hain duaen meri maula ki baargaah men
Pashemani ki main aahen phir bharun to kyon bharun

Jab le gayi hain khushiyan meri buzdili woh saari
Iman jab mera hamsafar hai phir darun to kyon darun

Daaman per daagh na lagey maula ki hai yeh rehmat
Labon per naam jab uska hai phir sar nigun to kyon nigun

Us bazm ki raaton ki main baaten ab kya karun
‘Sahil’, jiya hun main itna ke ab marun to kyon marun

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *