Story/Poetry

Kabhi deedaar e shams o qamar kijiyeDil na bhi chhahe magar kijiye

Kabhi deedaar e shams o qamar kijiye
Dil na bhi chhahe magar kijiye

Shirin zabaan ho, ho sukhan saazgaar
Shakhsiyat ko apni amar kijiye

Bazaar hasraton ka, hai basta har dil men
Uthe jab koi hasrat to kuchh aur kijiye

Waqt se kya jhagre, giley us se kya
Jo chain se guzar jaaye uska shukr kijiye

Koi zaamin nahin hai tawaqqo phir kaisi
Jaisi katey zindagi basar kijiye

Sunta hai sabki woh Saqi hai sab ka
Dua rehmat ki us se aksar kijiye

Narm hotey hain dil to sab ke hi ‘sahil’
Koi pathar ban jaaye to sabr kijiye

Deedaar   to see
Shams o qamar.   Sun n Moon
Sukhan.  Speech Writing,  agreeable
Zaamin. Guarantor
Tawaqqo. Expectations

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *