Story/Poetry

Waqt ki baaten hotin hain be waqt magar bahot

Waqt ki baaten hotin hain be waqt magar bahot
Guzar gaah khuda ki ek hai per hain dagar bahot

Samajhta hai yeh hasj ka Insan ehmiyat sitaron ki
Jaanta hai naam khuda ka per hai be khabar bahot

Dur been laga le shaikh nazar shayad kamzor hai
Taqreeren kaam na aayengi hai kotah nazar bahot

Taweel bahot hai raat andheri subh kyon khuftah hai
Dil baitha ja raha hai, dosto, nahin umeed bar bahot

Dar ba dar kyon jaata hai kis justaju men, faqir
Qaasa le kar baith ja hai khuda ki mehr bahot

Kaabe na pahunch sakey hum yaro batao kya karen
Musalmaan nahin to kya hua, kya hain hum kaafir bahot

Bujhti nahin kyon tishnagi lab e darya bhi meri
Ek chullu bhar kaafi hai ravaani phir kyon saaghar bahot

Dubkiyaan maaro jitni chaaho gehra hai sumundur bahot
Sukoon na milega tum ko kabhi jab honge gauhar bahot

Ya rab, kitna doghla aur munafiq hoga jahan yeh tera
Baaten har su chain o aman ki per zulm o jabr bahot

Aaj mazhab ko liye kyon phirta hai chhati per yeh bashar
‘Sahil’, pur kashish per nuqsaan deh hai iska asar bahot

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *