Yaro, sach bhi kuchh jhoot sa hai,
Yaro, sach bhi kuchh jhoot sa hai, shakl kuchh saraab ki
Meri nigah men hai suroor, zahid ki men sharab ki
Yeh nazar bhi kya nazar hai naseh, dekhti kuch dekhaati kuch
Amezish yeh saraab ki, sawaal jawaab ki, mai o aab ki
Nazar aftab se kya milayenge ek nazar men hi jal jayenge
Kya isi liye rehti hai hamen yeh kashish aab o taab ki
Rind jo aaye maikhade men nasha us per kul sawaar
Per, nasha kis ka bata Saqi, gar talaash ho mai e naab ki
Khuda ki talaash hai khana kharab ki nahin,
Us baaghbaan ki hai justaju us iram ke Gulaab ki
Kitnon ko jaante hain hum yaro, takte hain falak ko jo
Na rakhte huay dil men pinhaan umeed kisi sawaab ki
Kya gharaz ‘sahil’ ko dosto shab e gham ke hisaab ki
Ek aas hai usey to faqat darakhshaan mahtaab ki
Naseh. Counselor
Amezish. Mix ofSaraab. Mirage
Mai o aab. Wine n water
Kashish. Attraction.
Aab o taab. Glitz n glamour
Rind. Drinker
Mai e naab. Heaven sent wine
Khana kharab. Devastation
Zulmaton. Andhere
Pinhan. Hidden
Sawaab. Reward
Gharaz. Need inclination
Aas. Wish
Faqat. Only
Darakhshaan. Resplendent
Mahtaab. Moon