Neend aa jaaye to phir kyon na soya jaaye
Neend aa jaaye to phir kyon na soya jaaye
Khwabon ki duniya men khud ko khoya jaaye
Dil bhar aaye to usey halka kijiye, yaro
Yaad e maazi men ja kar roya jaaye
Khud mukhtaari ki baaten roz sunte hain
Log makhmal ki baalish per sotey hai
Na miley kaandha kisi humsafar ka kabhi
To usi baalish per gham ke aansu bahatey hain
Honi se kaun juda ho sakta hai
Naseeb ko kaun dafa kar sakta hai
Jakad leti hain hawayen parindon ko bhi
Maut ki aamad ko nahin roka ja sakta hai
Dosto, sar jhuka kar hi to chalna hai
Zindagi ka naam girna aur ubharna hai
Na bhoolna tum is baat ko kabhi
Sab hi ik ko roz khaak hi se ja milna hai
‘Sahil’, khaak hai tu khaak teri shakhsiyat
Deta phirta hai kyon auron ko naseehat
Khud ko sambhaal le bahot kaafi hai, ghaafil
Mat bhulna kabhi, tu us Ma ki tarbiyat
Khud mukhtaari. Independence
Baalish. Pillow. Cushion
Tarbiyat. Training