अशोक साहनी की कविता “साहिल”
” SAHIL”
Baaten marasim ki khud se anjaan hain
Aayeney ke ru ba ru na qaabil e pehchain hain
Kisey kahun apna aur ghair kisey, jab
Munafiq mohalley ke saare insan hain
Mehmaan navaazi se na waaqif hain log
Aashyianon men apne jo khud mehman hain
Qusur mausam ka hai, mausam e baaraan hai
Jidhar dekhiye har su bheegay daamaan hain
Amn o chain ki khwahishen sukun ki tamanna
Per, tabaahi o ghaarat ke har ja nishaan hain
‘Sahil’, do ashk baha le hamdard kehlaayega
Kaun dekhta hai aansu jo musalsal ravaan hain
WRITTEN BY ASHOK SAWHNY