
Hasrat e taskheer ne to aala tabaahi ki
Kaho kya kisi ne kahin koi maseehai ki
Zauq e nazar nahin to phir narm dil phir kya
Tanhayi kab samjhi shiddat shab e tanhayi ki
Talaash khaamiyon ki to insan ki fitrat hai
Faani jahan men phir fikr kyon ruswai ki
Majazi khudao tum kabhi khud se bhi to puchho
Kya kabhi dil se kisi ne tumhari pazeerai ki
Apne hi munh mian mithu, danke dholak bhi apne
Nishaniyaan yeh sab hain us haqeer khud satai ki
Maana ke maqaam apna hota hai sabka, lekin
Aaqil ne to aakhir unsiyat se hi ja kar shanasai ki
Be hiss aur majboor hai dil, be kasi yeh kaisi
Roya be tahasha jis ne qadr na ki khudai ki
Aaj samajhta nahin hai koi zabaan doosre ki, per
Karte hain baaten hazaar sab kisi humnawai ki
Maafi talaafi ka haq to mahz khuda ka hai
‘Sahil’, momin ne kisi aur ki kab jabahsai ki
Ashok sawhny Sahil
Leave a Reply