ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Farozaan qismat se kab kisi ne seekha kya

Farozaan qismat se kab kisi ne seekha kya
Nasheb o faraaz se na guzre to dekha kya

Sunehri chaadar men lipte rahe to mila kya
Baarish men na bheegey to phir piya kya

Rahbar bani daulat aasmaan ko chooma to kya
Sawaab hamdardi ka na dekha to mila kya

Kharid o farokht ki dunya yeh karobaar hi to hai
Pyaar na kiya jis ne na baanta to paaya kya

Madad auron ki jis ne ki asl nek insan hai wohi
‘Sahil’, jis ne hifazat na ki auron ki to phir kiya kya

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *