ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Kaafir ka dil bhi dhadakta hoga zindagi to sab men hai

Kaafir ka dil bhi dhadakta hoga zindagi to sab men hai
Kaun jaane woh kisey poojta hoga bandagi to sab men hai

Rishta hota hai har shai se bhale dushmani hi kyon na ho
Maano ya na maano yaro wabastagi to sab men hai

Jalwagah na dekha hum ne na dekhi dunya teri shaikh
Per dua salaam hum se seekh shaisatagi to sab men hai

Ai darya, na tum rukey na main ruka na ruka waqt kabhi
Maana husn tera ba kamaal per ravanagi to sab men hai

Pyaas ho ya bhookh kisi ko mit ti nahin hai woh kabhi
Mil jaaye dunya saari to kya phir bhi tishnagi to sab men hai

Kaamil siwa khuda ke kaun tu pursish khud se kar ke dekh
Shaikh, majaazi khuda hai tu to kya, be basi to sab men hai

Vaaiz, firasatmandon ko samjha hai aql pe unka haq nahin
Ghaflat to fitrat insan ki hai aur be khudi to sab men hai

Mah o anjum aur aftaab raasta sab deekhlaate hain, per
Hai raah khuda ki mukhtalif woh rahbari to sab men hai

Tumhen fikr kyon aur kis baat ki khuda jab sab ka maalik hai
‘Sahil’, naam aurat ka himmat hai, so mardaanagi to sab men hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *