ENTERTAINMENTINDIAStory/PoetryTRENDING NEWS

Gar mahabat deewaani hai to kaho phir nafrat kya hai

Gar mahabat deewaani hai to kaho phir nafrat kya hai
Ik lamha nahin to batao phir lafz e muddat kya hai

Ragon men daurta ubalta khoon ik jazba hi to hai
Tu aalim hai vaaiz bol raegaan nahin to adavat kya hai

Humsafar ka hona to tanhayi se behtar hai bahot
Jeena, umr chain se bitaana nahin to bolo murawwat kya hai

Ghazab hai aaj mahaul hamare is ek jahan ka dekhiye
Unsiyat, bhai chaarah, nahin to batao phir insaniyat kya hai

Kaakh o gulzaar sajana, shaan o shaukat ka band bajana, jahalat hai
Dil o man ko khuzu se sajana nahin to phir kaho sajawat kya hai

Be hosh insan, pareshaan hai tu, girdaab men kyon ghurub
Tan man ki shanti nahin to phir bata qana’at kya hai

‘Sahil’, aaj bhoola hai insan usey jiska woh insan hai
Gar iman pukhta hai sahara nahin to phir bolo himmat kya hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *