Chalo aaj kaarwaan badal kar dekh len
Chalo aaj kaarwaan badal kar dekh len
Haath ki lakiron ko mal kar dekh len
Jagah vahm ki bhi to yaro apni hoti hai
Kyon na phir mohalla badal kar dekh len
Subh dekhi shaam dekhi khwaab dekhe
Kabhi shab ko bhi to chal kar dekh len
Aawaragi ka shauq to fitrat hai insani
Jaam o meena se kaho sambhal kar dekh len
Sham’a ke deewaane to hum bhi hain, ‘sahil’
Chalo aaj hum bhi kuchh jal kar dekh len
Ashok sawhny Sahil