Rooth gayi hai bulbul usey manayega kaun
Rooth gayi hai bulbul usey manayega kaun
Ab baaghbaan ko naghma sunayega
Jo sakoot e sumundur se na seekha kuch
Usey muzir e charb zubaani sikhlayega kaun
Aaj andheron men lipti hui hai yeh dunya
Andha nahin to nur e Rab dikhlayega kaun
Num chashm hi to jaane ashkon ka mafhoom
Batao rukhsati auron ko samjhayega kaun
Jo waaqif hi na ho dil ki dhadkan se apni
Usey nigahon ki kh- moshi se milayega kaun
Jab ‘sahil’ nahin bhoolta reton ka woh udna
Phir, ahd e maazi ko bhala bhulaayega kaun
Ashok sawhny Sahil