ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Teer e nazar ka hai kaho ‘sahil’ nishana kyon

Teer e nazar ka hai kaho ‘sahil’ nishana kyon
Chaman qareeb samjhaye koi hai veerana kyon

Kya theka liya tha waqt ne koi yeh to batla do
Ke maare qismat mujhe hi, varna yeh satana kyon

Sab se na ho waasta to muzaiqa nahin koi
Magar aaj khud se insan hai kaho yun anjaana kyon

Yaro aaj nabard hi nabard hai aap jidhar dekhiye
Unsiyat ko bhala kya hua gurezaan dostana kyon

Irtiqa ki baat na chalegi ab na mah o anjum ki
Ai ahl e siyasat, ab dhund lo tum aur bahana koi

Dhundta hai taaron ki tarah zulmat tu insan kyon
Aaftaab ke hotey huay nahin hai tera timtimana kyon

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *