Bad bakhti ko kal subh aayena dikhla do
Bad bakhti ko kal subh aayena dikhla do
Bad soorat woh kitni andaaza dila do
Woh ziddi to hai shak is men kya hai
Ik ruppert likhwa do muqadma chala do
Jab munsif tak arzi pahunche tumhaari
Sab zulmon ki fehrist ka parcha bana lo
Badalne ka rakhta hai ghuncha bhi armaan
Kyon badli na naseeb dobara batla do
Duaen keen tum ne maula se kitni
Yeh bhi usey munsif ko albata samjha do
So jaati hai qismat likh kar woh sab ki
Yeh baat bhi munsif ko khufiya batla do
Sun kar guzarish gar munsif ho khuftah, phir
Tum uske khilaaf bhi parcha likhwa do
‘Sahil’, aakhir samajh kar baaten yeh sab saari
Tum yaqinan muqaddar se larna dafna do
Ashok sawhny Sahil