Hum ne ashkon se bujha li aaj tishnagi apni
Hum ne ashkon se bujha li aaj tishnagi apni
Aur sham’a dil ki jala kar mita li teeragi apni
Hum to deewaane hain shaikh tasleem kiya, bata
Kya tu ne hosh men chhupaa rakhi hai deewanagi apni
Sharm o haya ka to deti hai dars qudrat hi aala
Shajar barg o baar se chhupata hai, barhaingi apni
Dhandora kyon peet te ho aakhir dikhawa kis liye
Us ke raqs men dekhiye dervesh ki bandagi apni
Hayaat ki roz e paidaish se humsafar hai peeri
Tumhen bhi to yaad aati hogi jawaan zindagi apni
Usey to fikr nahin hoti hai kisi baat ki, ‘sahil’
Libaas men jiski lipti ho us ki inkisaari apni
Ashok sawhny Sahil