Main hun meri dasht e intehayi hai
Main hun meri dasht e intehayi hai
Jo hai sab khuda ki khudayi hai
Shukr hai us ka ke ruswa na hua
Mere aage firdaus meri paarsayi hai
Yahan parindon ka nahin chehchahana koi
Yeh to meri hi dasht e tanhayi hai
Tanha main nahin ke mere saath hai koi
Usi main se to meri ab kul aashnayi hai
Aasaan nahin kisi se hum aahang hona
Meri bhi to mujh hi se humnawayi hai
Chhord aya hun sab kuch ahd e maazi men ab
Usi men wafa usi men be wafayi hai
Qalb e momin ki baaten kyon karte ho dosto
Paak ho dil jiska woh awwal saudaayi hai
Yaro, khaak hi to hun, hai usi se ab milna
Isi ka to aakhir naam jaba sayi hai
Miley jab qaza to bas mujhe daurte huay miley
‘Sahil’, Rab se ab meri yehi ek duhayi hai
Dasht. Desert
Intehayi extremity the end
Firdaus. Heaven
Parsayi. Purity
Aashanayi. Jaan pehchaan
Humnawa. Hum ahang. Accordant
Maazi. Past
Qalb e momin. Heart of Believer
Jaba sayi. Rub forehead on ground
Qaza. Demise
Duhayi. Beseech
Ashok sawhny Sahil