Gar taweel ho ranj o gham ki qataar
Gar taweel ho ranj o gham ki qataar
To koi gham khwaar dhundiye
Dushman ho zaalim bahot
To koi tez talwaar dhundiye
Shauq phoolon ko ho tumhen
To phir gulzaar dhundiye
Aur gar gulu na ho bulbul ka
To phir sitaar dhundiye
Ji chaahe sar phodne ko
To nazdeek ek deewaar dhundiye
Aur ho jao ganje agar
To phir koi dastaar dhundiye
‘Sahil’ ho gaya ho jo zeest se tang
Yaro, phir afsos, mazaar dhundiye
Aur jo tang aa jaaye shayri se teri
To phir, mujhse mazeed koi hoshyaar dhundiye
Taweel lambi
Ghamkhwaar. Comforter
Gulu. Galaa
Dastaar. Turban
Mazaar. Shrine. Tomb
Mazeed. Zyada
Ashok sawhny ‘Sahil’