Masaail ka suljhaana to kuchh aur hi hai
Masaail ka suljhaana to kuchh aur hi hai
Talkh maazi ko bhulana to kuchh aur hi hai
Jahan saara hai khuda ka, lekin afsos
Yeh aaj ka zamaana to kuchh aur hi hai
Chehre ki muskaan ke kya kehne, jaanaan
Per, dil ka muskurana to kuchh aur hi hai
Lagne lagaane ki baaten na kijiye
Dil ka lagaana to kuchh aur hi hai
Daaman ka dhona roz marra ka kaam
Per, daaghon ka mitana to kuchh aur hi hai
Gul khilaaye to chaman men khilaa, ‘sahil’
Vaise gul khilana to kuchh aur hi hai
Ashok sawhny ‘Sahil’