Mayassar hai jab maikade men sukun mujhe pura
Mayassar hai jab maikade men sukun mujhe pura
Phir dair o haram men sar apna jhukaun main kis liye
Milta hai surur mujhe sharaab e khulus men kya
Yeh raaz tujh ko ai vaaiz ab bataun main kis liye
Jala liya dil hai ko main ne charagh e shaam ki surat
Sehar ko ab raushan aur banaun main kis liye
Neend aaye khwaab aayen guzre shab suhaani jab
Phir raaton ko bataaye koi jagaun main kis liye
Nadamaton ke charaagh sab ashkon se raushan kiye
Raat bhar bahaya darya behr bahaun main kis liye
Sukhan kaam hai tera shayar andaleeb tu hai nahin
Samjhen log jo chaahen ‘sahil’ samjhaun main kis liye
Ashok sawhny ‘Sahil’