ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Jab aaye din bachpan ke yaad taaza chund gham huay

Jab aaye din bachpan ke yaad taaza chund gham huay
Gulon ko khilte dekha phir yeh chashm mere num huay

Zakhm sab bharte nahin, mundamil hona bhi laazim nahin
Dekhe hum ne lekin bharte ghayal bin marham huay

Kyon ladkahadaata hai aqeedah, vaaiz tu batla hamen
Gaam  dagmagaate rahe kyon, kyon na woh mohkam huay

Kya mahabat nafrat mutraadif hain, hum maani yeh alfaaz
Andaaz ulfat ke dekhiye, aaj dushman kal sanam huay

Maazi bhi kya shai hai ‘sahil’ tilism us men pinhaan hai
Ab kaun batlaaye tab kis liye kyon vaise zulm o sitam huay

For non urdu readers

Chashm Aankhen
Chund  few
Mundanil. To heal
Marham. Dawa
Aqeedah. Faith
Momin. Believer in God
Mohkam. Pukka firm
Mutraadif. Synonyms
Hum maani, similar meanings
Pinhaan. Hidden
Tilism. Jaadoo.

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *