ENTERTAINMENTINDIAStory/PoetryTRENDING NEWS

Yeh jo aaj insan ka ghurur hai

Yeh jo aaj insan ka ghurur hai
Falak ko yeh na manzur hai

Na garje woh to kya hua
Qahar to us ka mastoor hai

Kya rakha hai futoor men
Sukhi woh jo masroor hai

Yeh jo halki halki dhoop hai
Kamaal is ka surur hai

Nasha misl e saraab hai
Kuchh to jaadu zurur hai

Hai kiran yeh aftaab ki
Ya Maula ka yeh noor hai

Vaaiz, tu hi asl baat bata
Kya shaamil is men hoor hai

Aaj dil ki dhadkan ne kaha
Sukun fiza men bharpur hai

‘Sahil’, phir maara maari kis liye
Kya insan aisa majbur hai

Kya paison ki hukumat men
Ab vahshat hi dastoor hai

Kya kahun main tumse yaro
Yeh majaazi Rab naqli ghafoor hai

Haaye! Aisa to na tha yeh zamaan kabhi
Jaane kis ki yeh chashm e bad door hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *