ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Saadagi to hamari zara dekhiye

Saadagi to hamari zara dekhiye
Hum ne naam bhi na puchha qaatil ka

Ata na pataa na khabar kuch neeyat ki
Na iraade uske na haal uske dil ka

Humsafar na humnawa koi ajnabi tha
Thikana na pata uski manzil ka

Bazm men anjaan o tanha bhi hote hain
Bas, naam dete hain hum usey mehfil ka

Zakhm to hotey hain dil ke gehre bahot
Kaun jaanta hai haal kabhi kisi bismil ka

Dil dhadakte hain sab ke jeene ke liye
Koi farq batlaye kya hai narm o sang dil ka

Yaro, fikr sab ko padi hai jaan apni ki yaan
Koi na jaane haal talatum men ‘sahil’ ka

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *