Jeene ka lutf to chain se jeene men hai
Jeene ka lutf to chain se jeene men hai
Aur bhalaayi daaman ke seene men hai
Gar sumudur ban jaaye to haasil kya ho
Firasat to ashkon ke peene men hai
Shikan ko muskaan men badalte dekho
Bahaar kya jaane lutf sanwarne men hai
Aazaadi batlao kis shai ka hai naam
Kya phadpadaate uqaab ke udne men hai
Khushi ki taareef o tauzeeh kya hai
Kya khushi azaab ke guzarne men hai
Ghaalib aana to khel anaa ka hai, bas
Asl fateh to khud ko haraane men hai
Sawaab o jawaab ki muntazir hai dunya
Jab neki ka sawaab to us ke karne men hai
So to sabhi jaate hain ‘sahil’, lekin
Mazaa to khwabon men kho jaane men hai
Ashok sawhny Sahil