ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Andheron ko ‘sahil’ ujalon men badlo

Andheron ko ‘sahil’ ujalon men badlo
Tum subh ka aalam dil apne men rakho

Jahan bhi jaao us ko humsafar banao
Shab ko bhi chehra tum subh ka dikhlao

Ta ke woh bhi to samjhe iraade tumhare
Khwahish ho usey bhi, ke sapne wo dekhe

Soney ki chaah phir usey bhi sula de
Aur jaise ho subh woh juda ho tum se

Be chain o muztar, mamnoon hongi raaten
Sun kar woh ‘sahil’ kamaal ki yeh baaten

Ke sochta hai koi khairiyat ki baabat
Aaye jab aaye, jis ko kehte hain qayamat

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *