Dil kho gaya hai har chand phir bhi qareeb hai
Dil kho gaya hai har chand phir bhi qareeb hai
Itne bhi faaslae na huay yeh zeh e naseeb hai
Adavat o mahabat ek thaali ke chatte batte
Baat nazariye ki, kaun habeeb kaun raqeeb hai
Naseem hai saba bhi aur khush hai andaleeb
Khilte hon gul chaman men to aala naseeb hai
Har silsile ki tehqeeqaat zururi hai baghbaan
Qismat ka nizaam aur kahin teri tarteeb hai
Aaj paas e ghurbat hai jahan me ya nahin bol
Vaaiz, aaj imdaad karne waala kya asl najeeb hai
‘Sahil’, hota hai soz jo aankhon ki nami men zaahir
Usi men shaamil ameer usi ranjish men ghareeb hai
Ashok sawhny Sahil