Mata’a e shauq ya naqd e jaan

  1. Mata’a e shauq ya naqd e jaan
    Dur bahot mah o anjum o assmaan

    Chahat o khwab, raaegaan aarzu
    Qafila e hasrat, la takmeel armaan

    Ravaan hai darya, ravaan insan
    Aana aur jaana yehi karwaan

    Kuch nahin hai na guzeer
    Ek nafas aur wohi hai jaan

    Kaun mezbaan kya mehmaan
    Ghar apne hi men gar tum ho mehmaan

    Kaakh o gulzaar bhaley na ho pyaar
    Afsos, yehi hai aaj ka zaalim insan

    ‘Sahil’, gardish ki baaten giley phir kya
    Yeh qahr e khuda hai tum kyon ho hairaan

  2. Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *