Ma Kya Hai
Ma jaisa sukoon o aaraam bhi nahin
Vaisa pyaar koi marasim bhi nahin
Khuda se bartar woh na sahi
Magar us se woh kum bhi nahin
Ma se badh kar na dost kahin
Vaisa to aala humdum bhi nahin
Afsos, qadr na ho jahan us ki
Us se mazeed sitam bhi nahin
Gar dil ke khaanon men Ma nahin
Phir vaisa to zaalim bhi nahin
Sant o Pir o Charahgar apni jagah,
Per, Ma jaisi to marham bhi nahin
Jaane mushkil kyon hai samajhni yeh baat
Ke Ma nahin to janam bhi nahin
Aur janam nahin to nadaanon
Phir hum kahan, hum bhi nahin
‘Sahil’, hijr kya aur kya rukhsati
Ma jaisa koi ranj o gham bhi nahin
Ashok sawhny Sahil