Gulon se tarasho sang o khisht se banaana kya
Gulon se tarasho sang o khisht se banaana kya
Beh gaye log doobti kashti ka bahaana kya
Zameer jahan khuftah ho, be hiss wahan ke log
Umeedon ka phir us jagah batlao sajaana kya
Ugal diya to raaz kya aur raazdaar phir wo kaisa
Dil ki baat dil men rahey logon ko sunaana kya
Bad badkhti bhi to naaseh lauh e azal per hogi
Girey huay ko tu bata phir hai giraana kya
Baatin men uthen valvale, bujh jaayen charagh
Fitrat unki apni ‘sahil’ tufaanon ko samjhaana kya
Ashok sawhny Sahil