Safar men chhaon to hogi aur hogi haseen raat
Safar men chhaon to hogi aur hogi haseen raat
Varna, hogi kaise kal subh se phir mulaqaat
Aasaan nahin hai kuch bhi to jeena kaise hoga
Laata hai apne saath lutf chund mushkilaat
Lafzon ki nahin zururat jahan e ulfat men
Be zubaan aankh hi keh deti hai saari baat
Humwaar nahin hai kuch bhi, raasta na safar
Din accha guzre to zururi nahin ho vaisi hi raat
‘Sahil’, zeest hai khel bisaat ka maidan e jung bhi
Tu aaye ghalib baar baar per kabhi to hogi maat
Ashok sawhny Sahil