Roodaad e Hayaat
Roodaad e Hayaat
Pur sukun dil ko manaana kya
’sahil’, soye huay ko sulaana kya
Do haath nahin milte hain jahan
Wahan taali ka phir bajana kya
Agar dil se dil hi na milta ho
To nain se nain ka milaana kya
Mai e naab na ho na rind koi
Saqi, tera phir maikhaana kya
Hatheli pe jaan na ho jiski, jaanaan
Aashiq woh kaisa, deewaana kya
Rota ho jab jahan yeh saara
Phir aansu wahan bahana kya
Kaasa ba dast ko hanste dekho
Phir, soz e gham men rona kya
Dil apne ko jo behlaaye na
Woh naghma phir gungunaaa kya
Khaar hi khaar hon jis chaman men
Kaho, gul wahan khilaana kya
Ranj o gham to hai zeest ka hissa
Daastaanen kisi ko sunaana kya
Chaley jo sach ki raah per, yaro
Us se bartar aur suhana kya
Ek hai dunya, ek hum sab
Khuda hai waahid, begaana kya
Jo noor e khuda se raushan ho dil
Usey aaftaab phir dikhlaana kya
Na milna chaaho na sahi ,’sahil’
Bahaane phir banaana kya
Ashok sawhny Sahil