ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Kaho yeh be rukhi kaisi jab vasl ki raat hai

Kaho yeh be rukhi kaisi jab vasl ki raat hai
Ghairat e jazbaat, yeh kab ki baat hai

Hangaame, subh o shaam, chain na aaraam
Jaise anjaanon ki ajab si yeh mulaqaat hai

Agar thak jaaye dil ro ro ke to phir
Samajh lena ke kuchh fart e sadmaat hai

Hasraton iltejaaon ka yeh jahan hai
Bhooley hain log, zeest awwal saughaat hai

Kaarobaar hai sab, aaj bazaar hai sab
Ulfat bhi sauda, ghazab ki rivayaat hai

Hukm tera to shaikh pukhta nahin hai
Na riza Rab ki, na woh qalam o dawaat hai

Hayaat ki sehar o shaam kya hai
Jab zindagi khud hi be sabaat hai

Khud ko jo maane khush qismat, ‘sahil’
Us pe khuda ki to kul inayaat hai

Vasl. Union
Ghairate jazaat. Dignity of feeings, emotions
Zeest. Zindagi
Saughaat. Gift
Fart e sadmaat. Excessive grief

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *