Pur sukoon hun ab haajat nahin koi
Pur sukoon hun ab haajat nahin koi
Tabiyat nahin muztar nafrat nahin koi
Aasaan si zubaan hai mushkilon se kya vaasta
Ma ka sikhlaya kaafi hai lughat nahin koi
Irtiqa ke is daur men insan pichhard gaya hai
Rishte naate toot gaye insaniyat nahin koi
Paison ka hi khel hai yaro million billion sab kamao
Hansi khushi ka naam nadarad, unsiyat nahin koi
Majaazi khudaon ka raaj hai yaro arsh e bareen kahan
Khuda nahin khudayi nahin ibadat nahin koi
‘Sahil’ ajab hai zamana purani woh dosti kahan
Jab dooriyaan hi na hon to qurbat nahin koi
Ashok sawhny Sahil