Aaj be hosh zamane men ba hosh kaun hai
Aaj be hosh zamane men ba hosh kaun hai
Kya pucchte ho tum hamatan gosh kaun hai
Jab fikr nahin hai kisi ko kisi ki, tab
Tu bata ai vaaiz baar e dosh kaun hai
Bikti hai bazaar men aaj khule aam haya
Har su hai barhaingi rooh posh kaun hai
Khanjar liye woh tayyaar jisey dekhiye
Zulm ke is aalam men aafiyat kosh kaun hai
Mufaad parast dunya men hai Rab parast kaun
Puja ho dervesh si vaisa madhosh kaun hai
Shor o ghul be shumaar, bas tak raha khuda
Kyon puchhta hai ‘sahil’ tu khamosh kaun hai
Hamatan gosh. Attentive
Barhainagi. Nudity
Baar e dosh. Weight on shoulders
Rooh posh. Veiled
Jafa koshi. Tyranny
Aafiyat kosh. Peace loving
Mufaad parast. Self centred
Khuda parast. Worshipper
Ashok sawhny Sahil