Khaima banao to khyaam kehlao

Khaima banao to khyaam kehlao
Mai pilao to phir jaam kehlao

Manind e naseem haule se chalo
To sukun aur kahin aaraam kehlao

Surahi se saqi gar qatra ho aakhir
To phir farjaam kabhi anjaam kehlao

Zamin se pareshaan aasmaan ke aashiq
Aawaara,sayarra, ya phir behraam kehlao

Subh ke baad aao to shaam kehlao
Aur shaam ke baad to aaraam kehlao

Husn ki zaat na uska thikana koi
Chashm ko bha jaao to gulfaam kehlao

Gauhar ya zarra yeh kaun batlaye
‘Sahil’, jab naam se tum be daam kehlao

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *