Laazim hai bashinda falak ka hona, varna
Laazim hai bashinda falak ka hona, varna
Jo chamke zamin per woh sitaara nahin
Jo barq e tajalli se khaaif ho taara
Falak ka raushan woh nayyara nahin
Na karo koi vaada muzaiqa nahin
Per, paimaan shikani gawaara nahin
Mujhe asad bulao to koi baat baney
Sher ko sher kehna to isteara nahin
Unsiyat ki baaten bhai chaare ke zikr
Phir kyon bhai ka bhai sahara nahin
Basta ho jis ke dil men khuda
Woh momin to vaaiz be chaarah nahin
‘Sahil’, yaar hai shaitaan bandon ka zurur
Aaj insan to naam bhi hamara nahin
Bashinda. Native
Barq e tajalli. Flash of lightning
Khaaif. Fearful
Muzaiqa. Issue problem
Paimaan shikani. Promise breaking
Asad sher lion
Isteara. Metaphor
Momin. believer