Khushi khushi hanste hanste ik roz yahan se jaana hai
Khushi khushi hanste hanste ik roz yahan se jaana hai
Auron se nahin khud se ab dil ko apne lagana hai
Sabr dunya men hai nahin samajh ki hai kotaahi bahot
Roothe jo bhi roothe insan hamen to khud ko samjhana hai
Dars to kaam vaaiz ka hai phir usi ko karne dijiye
Usey hi dunya ki maara maari ko ab yahan suljhana hai
Gaate gaate umr kati sur men aur kuchh be suri
Dil deewana zaalim hai ab mushkil usey behlaana hai
Bulbul gaaye jo woh chaahe gulshan men har roz, magar
Tujhe to ai ‘sahil’ naghma apna khud ko hi sunana hai
Ashok sawhny Sahil