Jo aaye ghar apne woh to ghar waale ban gaye
Jo aaye ghar apne woh to ghar waale ban gaye
Ab koi mehmaan dikhlaaye to jaanen hum
Vaaiz, sunte hain khutbe subh shaam hum tere
Tu kahin pukhta iman dikhlaye to jaanen hum
Khiradmandon ke tamashe har su dekhiye
Ab koi raqs e rindaan dikhlaaye to jaanen hum
Ba parda nahin be haya hai zamaan
Koi raqs e mizhgaan dikhlaaye to jaanen hum
‘Sahil’, aaj khalaaon men udti hai duniya saari
Koi zameen per insan dikhlaye to maanen hum
Ashok sawhny Sahil