Ek nafas aur naseeb ho to aur kya chahiye
Ek nafas aur naseeb ho to aur kya chahiye
Humsafar gar habib ho to aur kya chahiye
Dosti nahin masti hai jalwagahon men bas
Humnawa koi ghareeb ho to aur kya chahiye
Har waqt to nahin hoti chaman men bahaar
Khizaan men andaleeb ho to aur kya chahiye
Raah apni pe chalti hai dunya yeh saari
Rahbar agar raqeeb ho to aur kya chahiye
Mushkil alfaaz ka istemaal koi kamaal nahin hai
Saada lafzon ka adeeb ho to aur kya chahiye
Tanha insaan jaanta hai is baat ko woh khub
Kabhi uske koi qareeb ho to aur kya chahiye
Ranj o gham ki dunya men ghamkhwari hai bahot
Yaro, humsafar muteeb ho to aur kya chahiye
Zindagi ki ladaayi hi bahot kaafi hai, ‘sahil’
Apni paltan ka Rab naqeeb ho to aur kya chahiye
Nafas. Saans
Habib. Someone close
Andaleeb. Bulbul
Raqeeb. Rival
Ghamkhwaari. Sympathizing
Muteeb. Charming. Lively
Naqeeb. Chief. Leader
Ashok sawhny Sahil